jazba-e-ishq phir machalta hai dhalte dhalte ye chand dhalta hai puchhti phir rahi hai os abhi phul kab pairahan badalta hai main to chalta hun teri yaad ke sath rasta mere sath chalta hai tere aangan mein shab utarti hai teri khidki se din nikalta hai khushbuen khushbuon se milti hain kis liye phul hath malta hai lakh nazuk sahaare hon lekin girne wala kahan sambhalta hai aarzuon ki fasl dil mein hai chashma aankhon se kyun ubalta hai hum jhulas to rahe hain ai jaanan tera suraj bhi to pighalta hai rae hum ko badalni padti hai waqt kab faisla badalta hai