sirf zinda hi nahin hosh sambhaale hue hain aap ko dasht mein yani abhi hafte hue hain kaun chahega darakht us ke samar-bar na hon tu bane is liye hum khud ko mitae hue hain ye jo bachche hain faqat jhula nahin jhul rahe shakh pe phul ki manind ye latke hue hain in darakhton ke fawaed ka tumhein ilm nahin un ko mat kato ye baba ke lagae hue hain main bahut khush tha mujhe us ne bulaya hai 'azim' par yahan jitne hain sab us ke bulae hue hain