jazba-e-nau bhi to hai hasrat-e-nakaam ke sath khwahish-e-subh ubharti to hai har sham ke sath ho wo tahsin ke hamrah ki dushnam ke sath aa to jata hai mera nam tere nam ke sath tere kuche se bhi guzra hun main ai husn-e-talab subh ke sath kabhi aur kabhi sham ke sath mushkilen rah mein aati to bahut hain lekin yaad kar leta hun main tujh ko har ek gam ke sath pahle mera tha ye gham ab hai zamane bhar ka gham bhi gardish mein raha gardish-e-ayyam ke sath jhumti aati hai khushbu se bhari aati hai jab bhi aati hai saba aap ke paigham ke sath