be-sud hai ye josh-e-girya ai shama sahar ho jaane tak chhinta tere ashk-e-paiham ka pahuncha na kabhi parwane tak ai ahl-e-nazar meri hasti sab kuchh thi kabhi ab kuchh bhi nahin zinda hun magar mehman-e-baqa ek sans ke aane jaane tak han ghaur se ek khuddar nazar apne hi gareban par naseh kya jaane rahega kis had mein diwana tere samjhane tak ai khak-e-pareshan ke zarro aaghosh mein tum mujh ko le lo tamkin-o-khudi ko thukraata pahuncha hun main virane tak aashufta nizam-e-hasti hai kuchh aur na barham ho jae mashshsata-e-fitrat ke hathon gesu-e-butan suljhane tak wada hai magar kis aalam mein ek shokh-e-taghaful fitrat ka jab laila-e-shab ke bal khate gesu utar aaen shane tak