jazba-e-shauq ka izhaar kahan hota hai yan haqiqat pe bhi khwabon ka guman hota hai ahd-e-tifli mein jise zist ka hasil jaana waqt ka ab unhi baaton mein ziyan hota hai tum hi aaoge meri ruh mein khushbu ban kar ye tasawwur bhi ajab rahat-e-jaan hota hai raat palkon pe sajata hun wafaon ke charagh din nikalne pe ye andaz kahan hota hai ishq-e-shorida ko ashkon se tamasha na bana aag par pani ke padne se dhuan hota hai mera mahbub hai kya puchhne wale ab puchh han ye 'manzar' bhi shab-o-roz wahan hota hai