banda agar jahan mein bajae khuda nahin lekin nazar karo to khuda se juda nahin nuqte ka farq hai ga khuda aur juda mein dekh surat mein gar chhupa hai ba-mani chhupa nahin har shai ke bich aap nihan ho ayan hua dekha to hum ne us sa koi khud-numa nahin hairan aql-e-kul ki hai us ki sifat ko dekh sab ja mein jalwa-gar hai magar ek ja nahin lazzat chakha ke dil ke tain hijr o wasl ki 'hatim' se mil raha hai aur ab tak mila nahin