jazba-e-shauq ko bedar karun ya na karun tu bata de main tujhe pyar karun ya na karun hasraton ko gul-o-gulzar karun ya na karun tere jalwon ka main didar karun ya na karun main jalaun na jalaun teri yaadon ke charagh dil ki basti ko pur-anwar karun ya na karun jis ki shiddat se tadapne mein maza aata hai dil ko us dard se do-chaar karun ya na karun mere dil tu hi bata soch samajh kar mujh ko apni chahat ka main izhaar karun ya na karun