KHud ko fareb-o-makr-o-dagha ke KHilaf rakh

khud ko fareb-o-makr-o-dagha ke khilaf rakh
dil apna aaine ki tarah pak-saf rakh

mujh ko haqiqaton ki fazaon mein udne de
tu apne pas tazkira-e-koh-e-qaf rakh

iqrar jis ki zat ka roz-e-azal kiya
us ki zamin par na but-e-inhiraf rakh

shamshir ke baghair kisi kaam ka nahin
nadan apne sath na khali ghilaf rakh

mashuq-e-jawedan ko rijhane ke waste
kapdon se badh ke qalb-o-jigar pak-saf rakh

tukde dikhai dega tujhe chehra-e-nashat
tu dil ke aaine mein na koi shigaf rakh

shewa hai tera haq ki himayat ka ai 'shafia'
jo haq nahin tu us se sada ikhtilaf rakh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close