jazbaat mein Dubi hui ye raat hai kuchh aur

jazbaat mein dubi hui ye raat hai kuchh aur
be-tab nigahon ki mulaqat hai kuchh aur

diwanon ke sar par hai tera reshmi saya
ai zulf-e-siyah-fam teri baat hai kuchh aur

tu mai se bhara jam badhata hai sabhi ko
saqi tera andaz-e-musawat hai kuchh aur

har uzw-e-badan se wo kiran phut rahi hai
sharmae qamar bhi ki teri zat hai kuchh aur

pardes tujhe chhod ke jata na kabhi main
ai jaan-e-wafa surat-e-haalat hai kuchh aur

khulte hain yahan raaz abad aur azal ke
nazron mein meri bazm-e-khurafat hai kuchh aur

mana ki sar-e-bazm wo karte hain taghaful
chehre pe magar shokhi-e-jazbaat hai kuchh aur

bas harf-e-dua kahte hain hoti nahin maqbul
jo qalb se nikle wo munajat hai kuchh aur

rakkhunga saliqe se nihan-khana-e-dil mein
mere liye zakhmon ki ye saughat hai kuchh aur

sawan ko bhi dekha hai baraste hue ai 'shad'
aankhon se jo hoti hai wo barsat hai kuchh aur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close