kaba-e-ruKHsar ki tere ziyarat chahiye

kaba-e-rukhsar ki tere ziyarat chahiye
mujh ko tera hausla teri ijazat chahiye

main hamesha ye dua karta hun ai parwardigar
mere beton ko bhi mujh jaisi sakhawat chahiye

sard mausam ka saha jata nahin mujh se azab
barf jaisi raat ko teri hararat chahiye

zindagi ka lutf hasil is tarah hota nahin
dil mein tere jazba-e-sabr-o-qanaat chahiye

pura yun hi shahr qabristan jaisa ho gaya
zalimon ko aur kitni ab halakat chahiye

kausar-o-tasnim to hain ahl-e-jannat ke liye
ai mere saqi mujhe jam-e-shahadat chahiye

jis ki har aawaz par har shakhs ham-awaz ho
aaj apni qaum ko aisi qayaadat chahiye

main bhi basna chahta hun aap hi ke shahr mein
mujh ko is mein ghar banane ki ijazat chahiye

baat sach kahna koi aasan nahin is daur mein
lab hilane ki sar-e-mahfil jasarat chahiye

'shad' kyon us ka numainda main tujh ko man lun
us ka likkha koi khat us ki ibarat chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close