jazire hon ki wo sahra hon khwab hona hai samundaron ko kisi din sarab hona hai sawal puchhne walo tumhein bhi aakhir-e-kar rahin-e-minnat-e-bar-e-jawab hona hai khandar mein baith ke rone ki khu nahin jati tumhaari aankh pe shayad azab hona hai wo zulmaten jo ujalon ke ghar mein rahti hain unhen bhi misl-e-sahr be-naqab hona hai wo din jo nili kitabon mein band hai us ko abhi to mere liye be-hijab hona hai abhi to khwahish-e-be-dast-o-pa salamat hai abhi kuchh aur ye khana-kharab hona hai ye shakh shakh parinde pukarte hain 'matin' hamein to shakh se gir kar gulab hona hai