dab gai kyun meri aawaz kaho to kah dun is bhari bazm mein wo raaz kaho to kah dun mere naghmon ko sar-e-bazm tarasne walo be-sada kyun hai mera saz kaho to kah dun apne mohsin ka bhi ehsan bhulane wale kis ne bakhsha tumhein eazaz kaho to kah dun kaise ghairon ko mila gosha-e-pinhan ka suragh kaun nigaran tha daghabaz kaho to kah dun jab tumhein apni gharaz thi to mila di tum ne kis ki aawaz mein aawaz kaho to kah dun jism-e-inkar pe iqrar ka rahta hai libas un ki guftar ka andaz kaho to kah dun mujh mein 'kausar' thi nihan taqat-e-parwaz magar kis ne kate par-e-parwaz kaho to kah dun