jhagde apne bhi hon jab chaak-garebanon ke kaam hote hue rah jate hain viranon ke jaise aankhon ke ye do til hon jo tabdil na hon ghol aate hue jate hue insanon ke log hi log ude jate hain galiyon galiyon hum ne kuchh naqshe uchhaale the bayabanon ke aasman girta hua saf nazar aata hai baala-khanon mein ye dar khulte hain tah-khanon ke baat ki aur phir us baat ka matlab puchha din bure bhi bade achchhe rahe diwanon ke