kis liye sahra ke muhtaj-e-tamasha hojiye chaak kije sine ko aur aaphi sahra hojiye kushta-e-lab ho ke kije jawedan ab zindagi kyun abas minnat-kash-e-khizr-o-masiha hojiye chashm-e-ahwal sab ko dekhe hai ziyaada aap se ain binai hai gar is tarah bina hojiye kab talak sar-gashta rahiye din ko misl-e-gard-baad raat ko jun shama jalne ko muhayya hojiye is qadar hum dil-girafta hain ki mushkil hai bahut us ke band-e-jama wa hone pe bhi wa hojiye mujh se ye mahjubi aur dushman se aisa ikhtilat sharm kije bewafai mein na ruswa hojiye aana yun tewri chadhae munh banae faeda gar yahi surat hai mat tashrif-farma hojiye bul-hawas ka yun hadaf kije nishana tir ka ghafil apni qadar se be-dard itna hojiye jun jaras baam-o-dar-e-har-khana se utthega shor mat safar se hashr barpa saz-e-suhha hojiye khana viran kar ke diwane bane tis par 'raza' kuchh na hoe phir bhala kya kijiye kya hojiye