jhagDe KHuda se ho gae ahd-e-shabab mein

jhagde khuda se ho gae ahd-e-shabab mein
tab se gire pade hain jahan-e-kharab mein

kab ka wo ja chuka tha khuli aankh jab meri
main us ko dekhta hi raha jaise khwab mein

rangini-e-libas ka jamm-e-ghafir hai
shayad ki main na aaun tere intikhab mein

mujh par zakat husn-e-sukhan ki hui hai farz
shamil hua hun sher ke ahl-e-nisab mein

uttho ki aaina bhi kahin ka kahin gaya
rah jaoge yahin jo rahoge hijab mein

shayad qalam dawat ki fursat na ho use
mere hi khat ko bhej diya hai jawab mein

chhup-chhup ke dekhta tha taghaful ki aad mein
us ne barat liya hai mujhe ijtinab mein

wo sham-e-intizar ki lau kar gaya mujhe
main raushni-e-taba se hun pech-o-tab mein

aain hawaen dur se bagh-e-bahisht ki
khushbu bhi aai der se kar-e-sawab mein

aaina-e-nigah mein talim aur thi
bar-aks ho gaya jo likha tha kitab mein

main rahne wala sham o sahar ke pare ka hun
dala gaya hun sham o sahar ke hisab mein

is be-hisi ke bich mein 'ehsas' ki ghazal
dekho to ye sukut sukhan ke jawab mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close