kab tak kadakti dhup mein aankhen jalaen hum saya dikhai de to kahin baith jaen hum mitti nahin kisi se bhi qurbat ki duriyan gar kho gaya ho tu to tujhe dhund laen hum be-nur ho chali hain tamanna ki bastiyan kab tak charag-e-yaad-e-guzishta jalaen hum tera wajud biti hui zindagi ki yaad tu aa chuke to shahr mein dhumen machaen hum sau tarah ki bahaar hai sau rang ki khizan is dil ki wusaton mein kahin kho na jaen hum har saneha pukar ke kahta hai chup raho kab tak dilon ki baat zaban tak na laen hum is shahr-e-khamushi mein koi jagta bhi ho 'shahzad' kis ko subh ka muzhda sunaen hum