jhagde raha kiye dil-e-shorida-sar ke sath dushwar ho gaya safar us ham-safar ke sath neki badi hai roz-e-azal se bashar ke sath insan ka khamir bana khair-o-shar ke sath dil ki bhi khair mang raha hun jigar ki bhi donon ki tak mein hain wo tirchhi nazar ke sath hir-phir ke kyon na aae mere dil mein us ki naz hota hai uns sab ko zarur apne ghar ke sath ai sail-e-ashk khana-e-dushman bhi pas hai kyon tujh ko bughz hai meri diwar-o-dar ke sath chaurang katti hai wo tegh-e-nigah-e-naz armanon ka bhi khun hua dil jigar ke sath kal jis gali mein kho chuke dil phir wahin chale dil-bastagi kuchh aisi hai us rahguzar ke sath hamrah-e-khizr ja ke sikandar ko kya mila qismat hai har bashar ki juda har bashar ke sath jab tak ye dil hai dil se na jaega tera ishq jab tak ye sar hai zulfon ka sauda hai sar ke sath fard-e-gunah ko dhoenge ye ashk-e-infial wabasta hai umid meri chashm-e-tar ke sath kya khwab mein wo kakul-e-mushkin bikhar gain aai jo bu-e-mushk nasim-e-sahar ke sath hamrah wo raqibon ke nikla hai sair ko sau fitne ham-rikab hain us fitna-gar ke sath kya jaane le chala hai hamein josh-e-be-khudi rahzan ke sath jate hain ya rahbar ke sath kya mujh ko us ke wada-e-mashrut ki khushi ahd-e-wafa kiya hai magar aur agar ke sath dhoka hai aaqibat ka ba-qaul-e-saba 'khayal' anjam ho ba-khair ki shar hai bashar ke sath