jahan us ke jalwe se mamur hai jidhar dekhiye nur hi nur hai rag-e-jaan se bhi hai wo nazdik-tar nigahon se har-chand mashhur hai shahanshah tu hi hai ai zul-jalal tera banda qaisar hai maghfur hai bandhi hai har ek dil mein teri hi dhun har ek lab pe tera hi mazkur hai tera jalwa rag rag mein hai misl-e-khun tere nur se aankh pur-nur hai tere shukr ka haq ada kis se ho kahan aadmi ka ye maqdur hai taqqul ki sarhad se bahar hai tu ahate se idrak ke dur hai tera nur-e-wahdat taghayyur se pak talawwun mazahir ka dastur hai tere fazl ka multaji hai 'khayal' mahinon se bechaara ranjur hai