jhalakta hai gham meri har ek khushi se shikayat hai mujh ko teri be-rukhi se main apne tain mar chuka tha kabhi ka magar ji raha hun tumhaari khushi se khushi mein maza hai na ab gham mein lazzat ye kanta nikalo dil-e-zindagi se wo aur honge jin ko hai chahat ka arman mujhe pyar hai aap ki dushmani se kahan tak jiyun aasare par karam ke main baz aaya bas aap ki dosti se miti har tarah jaan 'sahir' ki lekin tera gham na bahla gham-e-zindagi se