jazbaat-e-mohabbat chhup na sake go zabt se hum ne kaam liya ashk aankhon mein apne bhar aae jab tera kisi ne nam liya is shiddat-e-gham ke hathon hum majbur bhi thi mayus bhi the kahna tha bahut kuchh kah na sake aankhon se zaban ka kaam liya kuchh arsh-e-barin tharra uttha aur jinn-o-malaik kanp gae jab main ne larazte hathon mein ulfat ka chhalakta jam liya khud apne kiye par nadim the phir kis ki shikayat hum karte ek aanch na un par aane di sab apne hi sar ilzam liya kyon arz-e-tamanna par 'sahir' phir aaj wo hans kar jate the tauhin-e-mohabbat sah na saka aur badh ke daman tham liya