jhank kar zat ke andar ye tamasha dekho shahr sahra mein kabhi shahr mein sahra dekho bahte dariya mein nazar aae har ek bund alag ye nahin moajiza gar bund mein dariya dekho sufiyo marifat-e-ahal-e-safa to ye hai kabhi insan mein insan ka sarapa dekho qurmuzi rang lahu se hai pasina mera aur arbab-e-hawas rang-e-tamanna dekho umr bhar tum pe rahe ahl-e-tamasha ka hujum umr bhar tum ye tamasha khade tanha dekho khwab-sazon ki hai ijad-e-hasin ye ummid sada is aaine mein tum rukh-e-zeba dekho gar wo na-bina ho kuchh harj nahin hai 'shaukat' rahnuma ho na magar aql ka andha dekho