jis ki rahi talash hamesha wo tu na ho mumkin hai tu mile to koi justuju na ho tu hi bata ye ishq ka hai kaun sa maqam dil ko ye aarzu hai teri aarzu na ho husn-e-tahi-wafa kabhi is phul ko bhi dekh jis mein jamal-e-rang to ho aur bu na ho yun hai kisi ki kaifiyat-e-chashm ki hawas jaise kahen sharab nahin ya subu na ho ai dost mere ishq pe tanqid bhi zarur lekin ye soch le ye teri aabru na ho hathon mein jo khila hai wo rang-e-hina sahi khanjar ko dekh us pe kisi ka lahu na ho ai zulf phail ja ki numaish nahin hai ye hasti ka kya subut jo zauq-e-numu na ho 'shaukat' hum us ke dard-e-tamanna ko bhul jaen par wo sitam-zarif bhi to ru-ba-ru na ho