jhijak shoKHi haya waisi ki waisi

jhijak shokhi haya waisi ki waisi
hai us ki har ada waisi ki waisi

falak se ho ke na-manzur apni
palat aai dua waisi ki waisi

khushi ko barha hum ne manaya
rahi hum se khafa waisi ki waisi

wafa ki lakh hum ne zindagi se
rahi ye bewafa waisi ki waisi

juda hum ek muddat se hain lekin
judai ki saza waisi ki waisi

bikharne par bhi hai mahfuz ab tak
faza mein har sada waisi ki waisi

na badlegi kabhi baaton se qismat
rahegi dekhna waisi ki waisi

jo aaghaz-e-mohabbat mein padhi thi
ghazal mutrib suna waisi ki waisi

jo aai kal meri niyyat badalne
ghiri phir se ghata waisi ki waisi

jawani ke tamannai jawani
kahan se paega waisi ki waisi

hamari kashti-e-dil bahr-e-gham mein
phire be-asra waisi ki waisi

jahan se aai hai ai umr-e-fani
wahin par laut ja waisi ki waisi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close