nigah-e-shauq ko phir lutf-e-be-hisab mile

nigah-e-shauq ko phir lutf-e-be-hisab mile
khuda kare ki tujhe daimi shabab mile

tamam umr mujassam sawal ban ke rahe
tamam umr ye khwahish rahi jawab mile

meri nazar se tere pur-fusun nazaron tak
kai rukawaten aain kai hijab mile

alam ke dard ke sadmat ke tasanno ke
rukh-e-hayat pe aise hi kuchh naqab mile

mere khutut ka maqsad khitab tha tum se
mere khutut ka mansha na tha jawab mile

baghaur padhte rahe us ko is liye 'raushan'
kitab-e-zist mein shayad khushi ka bab mile


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close