jhil mein us ka paikar dekha jaise shola pani mein zulf ki lahren pechan jaise nag ho lapka pani mein chandni shab mein us ke pichhe jab main utra pani mein chandi aur simab laga tha pighla pighla pani mein kitne rang ki machhliyan aain lalchati aur bal khati qatra qatra meri ragon se khun jo tapka pani mein raushan raushan rang nirale kaise nadir kitne habab qulzum-e-hasti raqs mein tha ya ek tamasha pani mein ek qalandar dhund raha tha chand sitaron mein ja kar us ka khuda to poshida tha anqa jaisa pani mein mujh ko ye mahsus hua tha apne ahd ka khizr hun main chupke chupke jab bhi main ne khizr ko dhunda pani mein aalaish daghon se bhara ye tera badan ek roz 'zafar' rahmat ki ghata jab barsi thi to saf hua tha pani mein