jhonka nafas ka mauja-e-sarsar laga mujhe raat aa gai to khud se bada dar laga mujhe itna gudaz hai mera dil fart-e-dard se phenka kisi ne phul to patthar laga mujhe khud hi ubhar ke dub gaya apni zat mein suraj ek iztirab ka paikar laga mujhe ye sham-e-wada hai ki padaw hai waqt ka ek lamha ek sadi ke barabar laga mujhe jaise main teri zat ka aks-e-jamil hun yun bhi tere firaq mein akasr laga mujhe is shor mein muhaal tha tera khayal bhi sahra bhi tere shahr se behtar laga mujhe daman se dho raha tha main dhabbe gunah ke qatra bhi aansuon ka samundar laga mujhe taza hawa mein sukh ka koi sans le sakun ai rabb-e-kainat zara par laga mujhe