zauq-e-sukhan ko ab to tere aag lagana achchha hai muflis ghar ki haalat hai aur sher sunana achchha hai meri sachchi chahat dekhi kah baitha wo mahfil mein mere sab diwanon mein se ye diwana achchha hai tir-e-nazar se aisa mare dil ka panchhi tab na le duniya ghar ke sayyaadon se us ka nishana achchha hai shaikh to masjid mein jata hai andar se dil kala hai sachche aabid jahan khade hun wo but-khana achchha hai aisi chaal kahan duje ki kyun tu aisa kahta hai waise tu ne parde mein mujh ko pahchana achchha hai auron ko talqin kare hai lekin 'sarwar' naseh ka mai-khane mein chupke chupke aana-jaana achchha hai