jhuk sake aap ka ye sar to jhuka kar dekhen rah mein dil hai ki patthar hai utha kar dekhen ye bhi ek shart hai takmil-e-hikayat ke liye haal-o-mustaqbil-o-mazi ko mila kar dekhen aabru husn ki ho jae na pamal-e-nazar dekhna ho to uthen khud se chhupa kar dekhen ghairat-e-zuhra-wshan rashk-e-qamar hain ki nahin aao in khak ke zarron ko utha kar dekhen ab nahin milne ke duniya mein wo khasan-e-junun lakh hum ahl-e-khirad shama jala kar dekhen un hijabon ko jo manus-e-azal hain ab tak aao fitrat ki nigahon mein sama kar dekhen khud hi khul jaega arbab-e-gulistan ka bharam chhed kar gul ko to ghunchon ko hansa kar dekhen zindagi dard sarapa hi nahin pyar bhi hai aao is pyar ko naghmon mein saja kar dekhen kya ata hoti hai kya ajr-o-sila milta hai ai 'raza' dast-e-talab hum bhi badha kar dekhen