shama nazan hai faqat sar se bhadak jaane mein aag phunk de sara jahan haigi wo parwane mein aag shoala-e-sham-e-haram husn-e-butan se hai khajil mujh ko khatra hai ki lag jae na but-khane mein aag dekhna garmi ki khubi meri bari jab aae ja-e-mai saqi ne bhar di mere paimane mein aag shaikh ki sumran-shumari mein koi garmi nahin chashm-e-bina ho to zahir hai har ek dane mein aag aatishin nale wo majnun ke mujhe aate hain yaad dekhta hun jo kahin dahke hai virane mein aag be-dimaghi hai baja us ke fasane se meri khwab kya lawe wo pinhan ho jis afsane mein aag kab hinsa tha main bhala jalne pe parwane ke 'lutf' dafatan phunki meri jaegi jo kashane mein aag