jhuka ke sar na yun daman bachana chahiye tha ana par aa gai thi sar katana chahiye tha hua hamwar dariya tha shanawar ka muqaddar hua wo par jis ko dub jaana chahiye tha nasihat ka teri ye zawiya kuchh aur hota miyan naseh tujhe bhi dil lagana chahiye tha mashaqqat se badalni thi hatheli ki lakiren muqaddar hath mein tha aazmana chahiye tha tere sar par jo pagdi hai mere ajdad ki hai meri tazim mein ye sar jhukana chahiye tha dar-e-jaanan dar-e-jaanan nazar aata tha har-su jabin betab thi us ko thikana chahiye tha main khud ko yaad tha meri mohabbat mein kami thi teri qurbat mein khud ko bhul jaana chahiye tha hamesha hi rahi an-ban kisi 'danish' se us ki mere jaisa use pagal diwana chahiye tha tamasha thi jo 'danish' zindagi to dekh leta jo naghma thi to us ko gungunana chahiye tha fasana ban gai thi zindagani gar jo 'danish' use izzat se sunna tha sunana chahiye tha