jhumke dikha ke tur ko jin ne jala diya aai qayamat un ne jo parda utha diya us fitne ko jaga ke pasheman hui nasim kya kya aziz logon ko un ne sula diya ab bhi dimagh-e-rafta hamara hai arsh par go aasman ne khak mein hum ko mila diya jaani na qadar us guhar shab charagh ki dil reza-e-khazaf ki tarah main utha diya taqsir jaan dene mein hum ne kabhu na ki jab tegh wo buland hui sar jhuka diya garmi charagh ki si nahin wo mizaj mein ab dil fasurdagi se hun jaise bujha diya wo aag ho raha hai khuda jaane ghair ne meri taraf se us ke tain kya laga diya itna kaha tha farsh teri rah ke hum hon kash so tu ne mar mar ke aa kar bichha diya ab ghatte ghatte jaan mein taqat nahin rahi tak lag chali saba ki diya sa badha diya tangi laga hai karne dam apna bhi har ghadi kudhne ne dil ke ji ko hamare khapa diya ki chashm tu ne baz ki khola dar-e-sitam kis muddai khalq ne tujh ko jaga diya kya kya ziyan 'mir' ne khinche hain ishq mein dil hath se diya hai juda sar juda diya