ki aah hum ne lekin us ne idhar na dekha is aah mein to hum ne kuchh bhi asar na dekha kya kya bahaaren aain kya kya darakht phule nakhl-e-dua ko lekin main barwar na dekha hargiz hua na yaro wo shokh yar apna zin pesh warna hum ne kya kya ki kar na dekha rahte hain kya bhala wan aafat-zade hi sare us kuche mein kisi ka aabaad ghar na dekha pahuncha gali tak us ke aage khada raha main aage qadam ke rakhte phir nama-bar na dekha do do pahar tak us ke aage khada raha main par us ne zid ke mare bhar kar nazar na dekha kya faeda rakkhe hai bas ab zyaada mat ro rona tera kisi ne ai chashm-e-tar na dekha kal yar ki gali mein dhunda jo 'mushafi' ko ek lash to padi thi par us ka sar na dekha