jhuti ana ke bojh ko sar se utar ke ek bar dekhte to sahi tum pukar ke ab tak hai meri sans mein khushbu basi hui aankhon mein naqsh hain wahi lamhat pyar ke hairat hai us ne kaise sabhi khat jala diye likkhe hue the jis mein sabhi lafz pyar ke jitna sikha diya hai akele hayat ne ab muntazir nahin hain kisi gham-gusar ke juzw-e-badan raha tha jo kal tak bichhad gaya tanhaiyon ke zahr ko khun mein utar ke