chura laya hun KHud ko apna saya chhoD aaya hun

chura laya hun khud ko apna saya chhod aaya hun
main us ke aaine mein apna chehra chhod aaya hun

ab aankhon mein basa le ya supurd-e-ab kar dale
main us ki diary mein ek sapna chhod aaya hun

ab aage dekhna hai zindagi kya shakl deti hai
main chalte chaak par khud ko adhura chhod aaya hun

tu mera haq na de mehnat ke badle bhik hi de de
main apne ghar mein sab bachchon ko bhuka chhod aaya hun

use dar hai ki yun meri ana na sath mar jae
main apne aakhiri dushman ko zinda chhod aaya hun

mere bachchon ko aapas mein yahi to bantna hoga
pas-e-parda jo nafrat ka asasa chhod aaya hun

ye laghzish ho gai kal mai-kade se be-khayali mein
kisi ka gham utha laya hun apna chhod aaya hun

utha lata to bakhshish ka wasila ban gaya hota
main masjid mein jo 'azhar' ek sajda chhod aaya hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close