jhuti tasalliyon pe shab-e-gham basar hui uthi chamak jo zakhm mein samjha sahar hui har har nafas chhuri hai liye qat-e-sham-e-hijr ya aaj dam nikal hi gaya ya sahar hui badlin jo karwaten to zamana badal gaya duniya thi be-sabaat idhar ki udhar hui jati hai raushni meri aankhon ko chhod ke tare chhupe wo so ke uthe wo sahar hui pahle ye jaanta tha ki zakhmi nahin hai dil jab de diya ragon ne lahu jab khabar hui kis munh se roun main dil-e-hasrat-nasib ko jab mar gaya gharib to mujh ko khabar hui 'jawed' bu-e-gul ko hawa aa ke le gai kaliyon ko gham hua na gulon ko khabar hui