tu meri baat ke jadu mein to aa hi jata chahta main to tere dil mein sama hi jata bah gai ek sada sail-e-sada mein warna main tere shahr mein ek shor utha hi jata wo agar dekh chuka tha kai nili lashen kya zaruri tha ki phir zahr chakha hi jata hum to kya khud use malum tha anjam apna dekhne ke liye kaun us ki tabahi jata ye zamin ek naya rasta hoti 'ashhar' hum se pahle jo udhar se koi rahi jata