ji bahalta hai mohabbat mein kahin hamdam ghalat

ji bahalta hai mohabbat mein kahin hamdam ghalat
kahne sunne se bhi hota hai kisi ka gham ghalat

aisi baaton ki tawaqqo' rakhiyega aghyar se
jhut hum kahte hain tum se baat koi hum ghalat

us ne mera qissa-e-gham jhut jaana kis tarah
nama-bar mazmun-e-khat mein tha bahut hi kam ghalat

hain hawai teri baaten tera sab kahna hai jhut
ai saba sabit hui teri khabar har-dam ghalat

un ke ab qaul-o-qasam hone lage kuchh-kuchh sahih
un ke wade ab to kuchh hone lage kam-kam ghalat

kaun se wade ko un ke jaaniye dil mein sahih
qaul dete hain wo jhuta dete hain wo dam ghalat

'lutf' se jo kuchh kaha ab tak hua wo sab sahih
sare wade aap ne jhute kiye paiham ghalat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close