ishq mein chahiye ye kar jaana

ishq mein chahiye ye kar jaana
kal ke marne se aaj mar jaana

kijiye zabh shauq se mujh ko
sar ka jaana hai dard-e-sar jaana

kuchh samajh kar nikaliye mujh ko
pahle kahiye ki hai kidhar jaana

dil ko samjhe to hum yahi samjhe
ek dushman ko apne ghar jaana

abhi aae ho aur kahte ho
hai mujhe to zarur ghar jaana

khub khilwai thokaren dil ne
hum ne gumrah ko rahbar jaana

le gaya shauq bazm-e-dushman mein
is ko kyon main ne ba-khabar jaana

khub aata hai aap ko sahib
kabhi kahna kabhi mukar jaana

wo chale aaj bazm-e-dushman mein
jazb-e-dil kuchh to kaam kar jaana

jao jao wo 'lutf' kahte hain
zist se chahiye guzar jaana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close