ji bhara aata hai khali mai ka pyala de gaya dekhiyo kya aaj hum ko shokh-baala de gaya us but-e-paiman-gusil ko jab ki main lata hun ghar kui nikoi de ke baala mujh ko tala de gaya chaak-e-sina ko jigar ko dagh-e-dil ko dard-e-zakhm tajir-e-gham shahr-e-ulfat ke ye kala de gaya kal ke din dikhla ke apna jalwa-e-sanat-gari yaad apni shab ko wo bari-taala de gaya nam apna japne ko har har tarah se har jagah subha to masjid mein but-khane mein mala de gaya