mujh ko mat chhuna ki ris kar phutne wala hun main tujh ko kya malum tere tanz ka chhaala hun main aaj zehnon mein hun lekin kal ka andesha hun main darmiyan donon ke gir kar tutta rishta hun main aadi-tirchhi si lakiren khinchta hun aur phir us ko har manzar mein rakh kar rang bhar deta hun main wo to yun khush hai samajhta hai ki main tairak hun us ko kya malum khud hi dubne wala hun main apni gul-poshi pe main nadim bhi hun sarshaar bhi haar kar jita hun jaane jit kar haara hun main