ji chahega jis ko use chaha na karenge hum ishq o hawas ko kabhi yakja na karenge ai kash chhuten ahd-shikan ban ke jahan mein baz aae wafadari ka dawa na karenge go husn-parasti na ho khatir se faramosh khush-qamaton ka yaad sarapa na karenge nargis ki shab-e-tira mein lutenge bahaaren par surmagin aankhon ki tamanna na karenge bahlaenge sair-e-gul-o-shabnam se dil apna us aariz-e-gul-rang ki parwa na karenge angaron pe lotenge par un shola-rukhon ke nazzara se hum aankh bhi senka na karenge ismat ka unhen khauf hai taqwa ka hamein pas ne ki hai kabhi khwahish-e-beja na karenge bakne ke 'shahidi' ke bura maniyo mat jaan hain aashiq-e-sadiq kabhi aisa na karenge