ji dhundhta hai ghar koi donon jahan se dur is aap ki zamin se alag aasman se dur shayad main dar-khur nigah-e-garm bhi nahin bijli tadap rahi hai mere aashiyan se dur aankhen chura ke aap ne afsana kar diya jo haal tha zaban se qarib aur bayan se dur ta-arz-e-shauq mein na rahe bandagi ki lag ek sajda chahta hun tere aastan se dur hai mana rah-e-ishq mein dair-o-haram ka hosh yani kahan se pas hai manzil kahan se dur