hamari aankh mein naqsha ye kis makan ka hai yahan ka sara ilaqa to aasman ka hai hamein nikalna pada raat ke jazire se khatar agarche is ek faisle mein jaan ka hai khabar nahin hai ki dariya mein kashti-e-jaan hai muahida jo hawaon se baadban ka hai tamam shahr par khamoshiyan musallat hain labon ko kholo ki ye waqt imtihan ka hai kaha hai us ne to guzrega jism se ho kar yaqin yun hai wo pakka bahut zaban ka hai