ji mein aata hai ki phir mizhgan ko barham kijiye kasa-e-dil le ke phir daryuza-e-gham kijiye gunjta tha jis se koh-e-be-sutun o dasht-e-najd gosh-e-jaan ko phir unhin nalon ka mahram kijiye husn-e-be-parwa ko de kar dawat-e-lutf-o-karam ishq ke zer-e-nagin phir har do aalam kijiye daur-e-peshin ki tarah phir daliye sine mein zakhm zakhm ki lazzat se phir tayyar marham kijiye subh se ta sham rahiye qissa-e-ariz mein gum sham se ta subh zikr-e-zulf-e-barham kijiye din ke hangamon ko kijiye dil ke sannate mein gharq raat ki khamoshiyon ko waqf-e-matam kijiye daimi aalam ka khugar bana kar ruh ko na-gahani hadson ki gardanen kham kijiye ghaiz ki daudi hui hai lahar si asnam mein 'josh' ab ahl-e-haram se dosti kam kijiye