kafir banunga kufr ka saman to kijiye pahle ghaneri zulf pareshan to kijiye us naz-e-hosh ko ki hai musa pe tana-zan ek din naqab ulat ke pashiman to kijiye ushshaq bandagan-e-khuda hain khuda nahin thoda sa narkh-e-husn ko arzan to kijiye qudrat ko khud hai husn ke alfaz ka lihaz ifa bhi ho hi jaega paiman to kijiye ta-chand rasm-e-jama-dari ki hikayaten taklif yak-tabassum-e-pinhan to kijiye yun sar na hogi 'josh' kabhi ishq ki muhim dil ko khirad se dast-o-gareban to kijiye