ji mein hai yaad rukh-o-zulf-e-siyah-fam bahut rona aata hai mujhe har sahar-o-sham bahut dast-e-sayyaad talak bhi na main pahuncha jita be-qarari ne liya mujh ko tah-e-dam bahut ek do chashmak idhar gardish-e-saghar ki mudam sar chadhi rahti hai ye gardish-e-ayyam bahut dil-kharashi-o-jigar-chaaki-o-khun-afshani hun to nakaam pe rahte hain mujhe kaam bahut rah gaya dekh ke tujh chashm pe ye satar-e-mizha saqiya yun to padhe the main khat-e-jam bahut phir na aae jo hue khak mein ja aasuda ghaaliban zer-e-zamin 'mir' hai aaram bahut