kibriyai ki ada tujh mein hai garche tu but hai khuda tujh mein hai shokhi o naz-o-ada tujh mein hai ya ye ek qahr-e-khuda tujh mein hai munh chhupata hai tu aaine se kis qadar sharm-o-haya tujh mein hai khair-bashad ki mere khun ki si surkhi ai rang-e-hina tujh mein hai puchh leta hai tu auron se mujhe bare itni to wafa tujh mein hai gul hai behaal ye kis gesu ki nikhat ai baad-e-saba tujh mein hai dil ko khinche hai teri zulf-e-siyah sehr jadu ki bala tujh mein hai ho na ai khak ke putle maghrur is pe tu ye jo hawa tujh mein hai sab ye naqsha hai tera aaryati ek zara soch to kya tujh mein hai tu jo yun gul ko bana deti hai kuchh to ai baad-e-saba tujh mein hai 'mushafi' se tu mila de us ko ye asar dast-e-dua tujh mein hai