ji mein jab himmat na ho ji se guzar jaana bhala har ghadi mar-mar ke jine se to mar jaana bhala sabr ban aae na jis se zahmat-e-tadbir par is faromaya jasarat se to dar jaana bhala husn-e-khu se un ke dil mein rah paida kijiye un ke dar par sar patakne se to ghar jaana bhala yaad hain hum ko kiye hum ne jo wade nafs se aise wade kar ke wadon se mukar jaana bhala dard insan ka na ho dil mein to dil khun kijiye sar jhuke insan ke aage is se sar jaana bhala shar hi kije shar se bhi phute hain chashme khair ke kuchh na karne se yahan kuchh kaam kar jaana bhala shayad ai 'mohsin' hamari hadd-e-jaulan hai yahi aur kuchh badhne ki koshish se thahar jaana bhala