mallah KHuda jaane kidhar dekh rahe hain

mallah khuda jaane kidhar dekh rahe hain
hum samne kashti ke bhanwar dekh rahe hain

aata to yaqin un ko wafaon ka hamari
wo apni jafaon ko magar dekh rahe hain

zindan ki salakhon se asiran-e-bala bhi
ahwal-e-sar-e-rahguzar dekh rahe hain

kab zulm-o-sitam hum ne na dekha tere hathon
han aaj ba-andaz-e-digar dekh rahe hain

allah re phaban surkhi-e-khun-e-shohada ki
hum tujh pe do-alam ki nazar dekh rahe hain

mara kise ai wae teri khu-e-jafa ne
mayyat pe tujhe khak-basar dekh rahe hain

ai kisht-e-wafa ab to hari ho ki tujhe hum
khun-nab dil-e-khasta se tar dekh rahe hain

barg-o-gul-e-afsurda hain ai baad-e-khizani
hum tab-o-tab-e-barq-o-sharar dekh rahe hain

khamosh jo baithe hain sar-e-sham se 'mohsin'
nind aa gai ya rah-e-sahar dekh rahe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close