jidhar bhi dekhiye ek rasta bana hua hai safar hamare liye masala bana hua hai main sar-ba-sajda sakun mein nahin safar mein hun jabin pe dagh nahin aabla bana hua hai main kya karun mera gosha-nashin hona bhi padosiyon ke liye waqia bana hua hai magar main ishq mein parhez se bandha hua hun tera wajud to khush-zaeqa bana hua hai burida shakhen hain ya shama-ha-e-gul-shuda hain khamida ped hai ya maqbara bana hua hai mere gunah dar-o-diwar se jhalak rahe hain makan mere liye aaina bana hua hai shuuri koshishen manzar bigad deti hain wahi bhala hai jo be-sakhta bana hua hai kisi dua ke liye hath uthe hue 'shahid' kisi diye ke liye taqcha bana hua hai